baiThe hain jahan saqi paimana-e-zar le kar
us bazm se uTh aae hum dida-e-tar le kar
yaadon se teri raushan mehrab-e-shab-e-hijran
DhunDhenge tujhe kab tak qindil-e-qamar le kar
kya husn hai duniya mein kya lutf hai jine mein
dekhe to koi mera andaz-e-nazar le kar
hoti hai zamane mein kis tarah pazirai
niklo to zara ghar se ek zauq-e-safar le kar
rahen chamak uTThengi KHurshid ki mashal se
hamrah saba hogi KHushbu-e-sahar le kar
maKHmal si bichha denge qadmon ke tale sahil
dariya ubal aaenge sad-mauj-e-guhar le kar
pahnaenge taj apna peDon ke ghane sae
niklenge shajar apne KHush-rang samar le kar
lapkenge gale milne sarw aur sanobar sab
uThenge gulistan bhi shaKH-e-gul-e-tar le kar
hanste hue shahron ki aawaz bulaegi
lab jam ke chamkenge sau shoala-e-tar le kar
aflak bajaenge saz apne sitaron ka
gaenge bahut lamhe anfas-e-sharar le kar
ye aalam-e-KHaki ek sayyara-e-raushan hai
aflak se Takra do taqdir-e-bashar le kar
Ghazal
BaiThe hain jahan saqi paimana-e-zar le kar
Ali Sardar Jafri