baiThe hain chain se kahin jaana to hai nahin
hum be-gharon ka koi Thikana to hai nahin
tum bhi ho bite waqt ke manind hu-ba-hu
tum ne bhi yaad aana hai aana to hai nahin
ahd-e-wafa se kis liye KHaif ho meri jaan
kar lo ki tum ne ahd nibhana to hai nahin
wo jo hamein aziz hai kaisa hai kaun hai
kyun puchhte ho hum ne batana to hai nahin
duniya hum ahl-e-ishq pe kyun phenkti hai jal
hum ne tere fareb mein aana to hai nahin
koshish karen to lauT hi aaega ek din
wo aadmi hai guzra zamana to hai nahin
wo ishq to karega magar dekh-bhaal ke
'faris' wo tere jaisa diwana to hai nahin
Ghazal
BaiThe hain chain se kahin jaana to hai nahin
Rehman Faris