اردو हिंदी
BaiThe hain chain se kahin jaana to hai nahin | Shaahi Shayari
baiThe hain chain se kahin jaana to hai nahin

Ghazal

BaiThe hain chain se kahin jaana to hai nahin

Rehman Faris

;

baiThe hain chain se kahin jaana to hai nahin
hum be-gharon ka koi Thikana to hai nahin

tum bhi ho bite waqt ke manind hu-ba-hu
tum ne bhi yaad aana hai aana to hai nahin

ahd-e-wafa se kis liye KHaif ho meri jaan
kar lo ki tum ne ahd nibhana to hai nahin

wo jo hamein aziz hai kaisa hai kaun hai
kyun puchhte ho hum ne batana to hai nahin

duniya hum ahl-e-ishq pe kyun phenkti hai jal
hum ne tere fareb mein aana to hai nahin

wo ishq to karega magar dekh bhaal ke
'faris' wo tere jaisa diwana to hai nahin