baiThe biThae aaj phir kis ka KHayal aa gaya
chehre ka rang uD gaya rang-e-malal aa gaya
uljhan mein paD gaya hun main dil ka karun to kya karun
shisha nahin ye kaam ka is mein to baal aa gaya
pura na kar sakunga ab tujh se kabhi mukalima
aankhen thin mahw-e-guftugu dil ka sawal aa gaya
karni hai tark jis jagah teri talash-o-arzu
sahra mein ab maqam wo mere ghazal aa gaya
rui ki tarah shahr mein uDne lagi hai ye KHabar
us ko hi bas pata nahin us ka zawal aa gaya
main ne to apna aaina rakkha tha us ke ru-ba-ru
itni si ek baat thi us ko jalal aa gaya
Ghazal
BaiThe biThae aaj phir kis ka KHayal aa gaya
Obaid Siddiqi