baiTha hun siyah-baKHt o mukaddar isi ghar mein
utra tha mera mah-e-munawwar isi ghar mein
ai sans ki KHushbu lab-o-ariz ke pasine
khola tha mere dost ne bistar isi ghar mein
chaTki thin isi kunj mein us honT ki kaliyan
mahke the wo auqat-e-mayassar isi ghar mein
afsana-dar-afsana thi muDti hui siDhi
ashaar-dar-ashaar tha har dar isi ghar mein
hoti thi harifana bhi har baat pe ek baat
rahti thi raqibana bhi aksar isi ghar mein
sharminda hua tha yahin pindar-e-imarat
chamka tha faqiron ka muqaddar isi ghar mein
wo jin ke dar-e-naz pe jhukta tha zamana
aate the baDi dur se chal kar isi ghar mein
Ghazal
BaiTha hun siyah-baKHt o mukaddar isi ghar mein
Mustafa Zaidi