baiTha hai sogwar sitamgar ke shahr mein
kis ko pukare aaina patthar ke shahr mein
beja nahin fazaon ka hairat mein Dubna
itna sukut aur suKHan-war ke shahr mein
is daur mein usi ko hunar-mand maniye
jina nahin paDa jise mar mar ke shahr mein
manzil qarib aai to rasta bhula gaya
phirte hain KHak chhante rahbar ke shahr mein
suraj nazar bacha ke to guzra na tha magar
utrin nahin shuaen muqaddar ke shahr mein
insan kahun unhen ki farishton ka nam dun
jo log dard-mand hain be-ghar ke shahr mein
shayad nikal hi aae koi chaaragar 'figar'
ek bar aur dekh sada kar ke shahr mein
Ghazal
BaiTha hai sogwar sitamgar ke shahr mein
Amar Singh Figar