baiTh kar pas na arman-bhara dil dekha
ek nazar dur se hi us ne ba-mushkil dekha
aaina dekh ke KHud ho gaya bismil dekha
hum ne to aks ko qatil ke bhi qatil dekha
hijr mein jina to be-shak hai nihayat dushwar
ishq mein aur koi kaam na mushkil dekha
jaan mangi thi kaha hum ne ki tum par hai nisar
us pe kahte ho ki bas ja bhi tera dil dekha
main samajhta hun use apni mohabbat ki kashish
tu ne munh pher ke bhi mujh ko jo qatil dekha
aap ki yaad se main to kabhi ghafil na raha
aap kahte hain tujhe KHwab mein ghafil dekha
bistar-e-gul pe jise dekha tha sote kal tak
aaj us nur ke putle ko tah-e-gul dekha
shan allah ki gulshan mein nazar aai hamein
kabhi ghunche pe nazar Dali kabhi dil dekha
umr-bhar KHak uData raha sahra ki magar
umr-bhar qais ne laila ka na mahmil dekha
mil gaya KHak mein KHud un ki hifazat ke liye
shauq-o-arman ka muhafiz tujhe ai dil dekha
bhar diya gauhar-e-nayab se ashkon ne mere
KHali phaila hua jab daman-e-sahil dekha
hum sunane lage qissa use apna 'shankar'
ghair ke zikr se jis dam use ghafil dekha
Ghazal
BaiTh kar pas na arman-bhara dil dekha
Shankar Lal Shankar