baiTh jata tha main thak kar apne tan ki chhanw mein
ek ghar hota tha apne nam ka us ganw mein
qatre qatre ko tarasta hi raha main umr bhar
go safar karta raha main umr bhar dariyaon mein
mar ke jita tha kabhi main ji ke marta tha kabhi
KHush-nasibi thi safar karta tha do duniyaon mein
dekhti aankhon se hum chup-chap sunte hi rahe
guftugu jari thi rang-e-gul pe na-binaon mein
shahr mein rahte hue tanhai ka ye haal tha
main ghira rahta tha jaise be-karan sahraon mein
jis shajar ko kaT kar us ne haTaya rah se
rah chuka tha wo shajar us ke karam-farmaon mein
KHwab mein 'alam' ne auj-e-arsh tak parwaz ki
aur jage to wahi chakkar tha apne panw mein
Ghazal
BaiTh jata tha main thak kar apne tan ki chhanw mein
Intikhab Alam