baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai
hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai
nahin marte hain to iza nahin jheli jati
aur marte hain to paiman-shikani hoti hai
din ko ek nur barasta hai meri turbat par
raat ko chadar-e-mahtab tani hoti hai
tum bichhaDte ho jo ab karb na ho wo kam hai
dam nikalta hai to aaza-shikani hoti hai
zinda dar-gor hum aise jo hain marne wale
jite-ji un ke gale mein kafni hoti hai
rut badalte hi badal jati hai niyyat meri
jab bahaar aati hai tauba-shikani hoti hai
ghair ke bas mein tumhein sun ke ye kah uThta hun
aisi taqdir bhi allah ghani hoti hai
na baDhe baat agar khul ke karen wo baaten
bais-e-tul-e-suKHan kam-suKHani hoti hai
luT gaya wo tere kuche mein dhara jis ne qadam
is tarah ki bhi kahin rahzani hoti hai
husn walon ko zid aa jae KHuda ye na kare
kar guzarte hain jo kuchh ji mein Thani hoti hai
hijr mein zahr hai saghar ka lagana munh se
mai ki jo bund hai hire ki kani hoti hai
mai-kashon ko na kabhi fikr-e-kam-o-besh rahi
aise logon ki tabiat bhi ghani hoti hai
huk uThti hai agar zabt-e-fughan karta hun
sans rukti hai to barchhi ki ani hoti hai
aks ki un par nazar aaine pe un ki nigah
do kaman-daron mein nawak-fagani hoti hai
pi lo do ghunT ki saqi ki rahe baat 'hafiz'
saf inkar se KHatir-shikani hoti hai
Ghazal
BaiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai
Hafeez Jaunpuri