baiTh jata hai wo jab mahfil mein aa ke samne
main hi bas hota hun us ki is ada ke samne
tez thi itni ki sara shahr suna kar gai
der tak baiTha raha main us hawa ke samne
raat ek ujDe makan par ja ke jab aawaz di
gunj uTThe baam-o-dar meri sada ke samne
wo rangila hath mere dil pe aur us ki mahak
sham-e-dil bujh si gai rang-e-hina ke samne
main to us ko dekhte hi jaise patthar ho gaya
baat tak munh se na nikli bewafa ke samne
yaad bhi hain ai 'munir' us sham ki tanhaiyan
ek maidan ek daraKHt aur tu KHuda ke samne
Ghazal
BaiTh jata hai wo jab mahfil mein aa ke samne
Muneer Niyazi