baiTh ja kar sar-e-mimbar waiz
ho gaya tu to mere sar waiz
mai to jaez nahin ye jaez hai
roz khata hai mera sar waiz
band karta hai dar-e-tauba kyun
khol kar waz ka daftar waiz
waizon ki main karun kya tarif
ghar mein mai-KHwar hain bahar waiz
mai-kashon hi ke liye hai ye baat
jo hai dil mein wahi lab par waiz
dekh kis rang se uTThi hai ghaTa
tah kar ab waz ka daftar waiz
kis tarah pite hain pine wale
dekh lena lab-e-kausar waiz
maut bhi aati hai to hile se
aa gaya rindon mein kyunkar waiz
saKHtiyan rindon pe karte karte
aql par paD gae patthar waiz
aatish-e-tar ka jo paD jae maza
phunk de waz ka daftar waiz
rind aape se jo bahar hain to hon
tu na ho jame se bahar waiz
shisha-e-dil ka KHuda hafiz hai
teri har baat hai patthar waiz
zikr-e-mai waz mein jab aata hai
jhumta hai sar-e-mimbar waiz
le ke aankhon se lagata saghar
paDh jo leta KHat-e-saghar waiz
mahfil-e-waz mein kyun jaun 'jalil'
hain mujhe shisha-o-saghar waiz
Ghazal
BaiTh ja kar sar-e-mimbar waiz
Jaleel Manikpuri