bahuton ne jise arsh pe be-jaan mein dekha
hum ne to use jite-ji is jaan mein dekha
majnun tha ham-aghosh liye laila ko apni
yaro ye tamasha main bayaban mein dekha
jawe bhi phir aawe bhi kai shakl se har bar
chakkar mein kahan par ye maza tan mein dekha
faqa hi rahe roz na kuchh khana na pina
ye daur main ne hazrat-e-ramazan mein dekha
sab raat laDen TonTe chhachhundar ki laDai
bhaunchappa main ne chhuTte shaban mein dekha
go mewe hazaron hain aur hain neamaten lakhon
par sab se saris hum ne maza nan mein dekha
har sher taDaqe ka har ek baat tamasha
aisa to main ne sauda ke diwan mein dekha
har nafs ko hairan kare sowte jagte
is fan ko main ne hazrat-e-shaitan mein dekha
kuchh baat kahe hans ke to jhaDte hain nire phul
lahza ye tere is lab-e-KHandan mein dekha
hanste hi kare der na laDte hi kare der
ye taur tera tiflak-e-nadan mein dekha
go sarw tere qad ka sa mauzun to nahin hai
par kahne ko lachaar main bustan mein dekha
jo chah-e-zanaKH bich gira phir na nikla
aisa to kai bar main har aan mein dekha
kuche ka gaya tere koi phirta nahin hai
main KHub hi kar ghaur gareban mein dekha
tujh chashm ki tashbih ko nargis ka zikar kya
sau bar use main ne gulistan mein dekha
Ghazal
Bahuton ne jise arsh pe be-jaan mein dekha
nayan sukh