bahut waqif hain lab-e-ah-o-fughan se
tabassum hai kahan laun kahan se
tasawwur bhul jata hai KHuda ko
ye Takraya hai jab aah-o-fughan se
yaqin hone ko hai mayusiyon par
tawaqqo uTh rahi hai aasman se
muqaffal ho zaban jis be-nawa ki
wo kyun kar kya kahe apni zaban se
kahe kuchh bhi magar pur-soz hoga
hamein ummid hai apni zaban se
ilahi KHair mere aashiyan ki
dhuan sa uTh raha hai gulistan se
kahin dhoka na ho 'maghmum' ye bhi
nazar aate hain kuchh dhundle nishan se
Ghazal
Bahut waqif hain lab-e-ah-o-fughan se
Gorbachan Singh Dayal Maghmum