bahut ukta gaya hun apne ji se
mera dil bhar gaya hai har kisi se
ba-zoam-e-KHud ajal se main laDa hun
ba-zoam-e-KHud main haara zindagi se
na jaane kis gali mein kho gaya hun
main kaT kar aap apni zindagi se
mera mazi meri yaaden kahan hain
ye puchhun ab to kya puchhun kisi se
na jaane kitne unwan rashk karte
jo apni dastan kahte kisi se
jo aae jis ke ji mein 'dard' kah le
sununga har kisi ki main KHushi se
Ghazal
Bahut ukta gaya hun apne ji se
Vishvanath Dard