bahut udas hai dil jaane majra kya hai
mere nasib mein gham ke siwa dhara kya hai
main jin ke waste duniya hi chhoD aaya tha
wo puchhte hain ki aaKHir tujhe hua kya hai
nibha raha hun main duniya ke rah-o-rasm yahan
wagarna jism ke sahra mein ab bacha kya hai
yahan to id ka mausam bhi ab nahin aata
na jaane gardish-e-dauran ko ho gaya kya hai
har ek raat meri zindagi ka matam hai
har ek sham yahan maut ke siwa kya hai
hamara farz to jalna hai sirf mahfil mein
bhala charagh ka KHushiyon se wasta kiya hai
Ghazal
Bahut udas hai dil jaane majra kya hai
Siraj Alam Zakhmi