bahut TuTa hun lekin hausla zinda bahut kuchh hai
mere andar abhi isar ka jazba bahut kuchh hai
ata ki hai usi ne zindagi ko karb ki daulat
magar is mein mere dil ka bhi sarmaya bahut kuchh hai
bachata hai kahan ye dopahar ki dhup se hum ko
yun kahne ko yahan diwar ka saya bahut kuchh hai
mohabbat ka jise aaseb kahte hain jahan wale
mere dil par isi aaseb ka saya bahut kuchh hai
wo aaya hai na aaega bujha de yaad ki shamen
dil-e-nadan ko tanhai mein samjhaya bahut kuchh hai
koi do ghunT pi kar ji to sakta hai 'wali' lekin
kisi dariya se tishna-lab guzar jaana bahut kuchh hai
Ghazal
Bahut TuTa hun lekin hausla zinda bahut kuchh hai
Vali Madni