bahut suna tha ki khulta hai par nahin khulta
KHuda ke waste bande ka ghar nahin khulta
wo ek sher jo khulta hai sari mahfil pe
wo jis pe khulna hai us pe magar nahin khulta
hamare qad ke mutabiq jise banaya tha
wahi wo dar hai jo baalisht-bhar nahin khulta
bane hue hain ajaeb-gharon ki zinat hum
par apne waste apna hi dar nahin khulta
tumhein pahunchna hai 'iqbaal' 'mir' 'ghaalib' tak
magar wo rasta shayad idhar nahin khulta
kare ki minnaten karte hain ek muddat se
magar nasib mein apne safar nahin khulta
sawal dastaken de ki hue fana 'fani'
jahan jawab hai bas wo hi dar nahin milta
Ghazal
Bahut suna tha ki khulta hai par nahin khulta
Fani Jodhpuri