bahut se zamin mein dabae gae hain
bahut un ke aashiq jalae gae hain
hamesha se aashiq satae gae hain
hamein kya nae yan jalae gae hain
andhera na hone diya wasl ki shab
wo shamon pe shamen jalae gae hain
nahin be-sabab un ko mujh se rukawaT
bahut hi sikhae paDhae gae hain
nahin wasl ki in se farmaish aasan
bahut munh bigaDe banae gae hain
adaon ke namon ke ghamzon ke mujh par
bahut chor pahre biThae gae hain
nigahon ki chhuriyan adaon ke KHanjar
bahut mere dil par lagae gae hain
laDaya hai shah de ke logon ne hum ko
bahut roz naqshe jamae gae hain
main nalan na tha tere jaur-o-jafa se
zamane ke dil kyun dukhae gae hain
dil-o-dida do ghar hain tashrif laen
sanware gae hain sajae gae hain
ye duniya hai is mein hamesha se insan
bigaDe gae hain banae gae hain
bani-adam aaza-e-yak-digar-and
ki miTTi se hum tum banae gae hain
zamin se hi aae zamin hi mein jaana
isi se bigaDe banae gae hain
hamin par nahin zulm duniya mein 'parwin'
bahut log yan aazmae gae hain
Ghazal
Bahut se zamin mein dabae gae hain
Parveen Umm-e-Mushtaq