bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha
farishte aaj tak hairat mein hain kaisa chuna tha
bahut se shahr rahne ke liye hazir the lekin
hamesha zinda rahne ke liye sahra chuna tha
jo pichhe aa rahe the un se tu ghafil nahin tha
ki tu ne raste ka ek ek kanTa chuna tha
jahan mein kaun tha dosh-e-nabi jis ka tha murkkab
isi KHatir barhana-pai ne tujh sa chuna tha
zamana jaanta hai kaun tha jo par utra
ki tu ne pyas aur darbar ne dariya chuna tha
Ghazal
Bahut se raston mein tu ne jo rasta chuna tha
Mohammad Izhar ul Haq