اردو हिंदी
Bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya | Shaahi Shayari
bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya

Ghazal

Bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya

Abdul Hamid Adam

;

bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya
jo bach rahe the unhen mai pila ke mar diya

ye kya ada hai ki jab un ki barhami se hum
na mar sake to hamein muskura ke mar diya

na jate aap to aaghosh kyun tahi hoti
gae to aap ne pahlu se ja ke mar diya

mujhe gila to nahin aap ke taghaful se
magar huzur ne himmat baDha ke mar diya

na aap aas bandhate na ye sitam hota
hamein to aap ne amrit pila ke mar diya

kisi ne husn-e-taghaful se jaan talab kar li
kisi ne lutf ke dariya baha ke mar diya

jise bhi main ne ziyaada tapak se dekha
usi hasin ne patthar uTha ke mar diya

wo log mangenge ab zist kis ke aanchal se?
jinhen huzur ne daman chhuDa ke mar diya

chale to KHanda-mizaji se ja rahe the hum
kisi hasin ne raste mein aa ke mar diya

rah-e-hayat mein kuchh aise pech-o-KHam to na the
kisi hasin ne raste mein aa ke mar diya

karam ki surat-e-awwal to jaan-gudaz na thi
karam ka dusra pahlu dikha ke mar diya

ajib ras-bhara rahzan tha jis ne logon ko
tarah tarah ki adaen dikha ke mar diya

ajib KHulq se ek ajnabi musafir ne
hamein KHilaf-e-tawaqqoa bula ke mar diya

'adam' baDe adab-adab se hasinon ne
hamein sitam ka nishana bana ke mar diya

tayyunat ki had tak to ji raha tha 'adam'
tayyunat ke parde uTha ke mar diya