اردو हिंदी
Bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai | Shaahi Shayari
bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai

Ghazal

Bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai

Mirza Ghalib

;

bahut sahi gham-e-giti sharab kam kya hai
ghulam-e-saqi-e-kausar hun mujh ko gham kya hai

tumhaari tarz-o-rawish jaante hain hum kya hai
raqib par hai agar lutf to sitam kya hai

suKHan mein KHama-e-ghaalib ki aatish-afshani
yaqin hai hum ko bhi lekin ab us mein dam kya hai

kaTe to shab kahen kaTe to sanp kahlawe
koi batao ki wo zulf-e-KHam-ba-KHam kya hai

likha kare koi ahkaam-e-tala-e-maulud
kise KHabar hai ki wan jumbish-e-qalam kya hai

na hashr-o-nashr ka qael na kesh o millat ka
KHuda ke waste aise ki phir qasam kya hai

wo dad-o-did garan-maya shart hai hamdam
wagarna mehr-e-sulaiman-o-jam-e-jam kya hai