اردو हिंदी
Bahut roya wo hum ko yaad kar ke | Shaahi Shayari
bahut roya wo hum ko yaad kar ke

Ghazal

Bahut roya wo hum ko yaad kar ke

Parveen Shakir

;

bahut roya wo hum ko yaad kar ke
hamari zindagi barbaad kar ke

palaT kar phir yahin aa jaenge hum
wo dekhe to hamein aazad kar ke

rihai ki koi surat nahin hai
magar han minnat-e-sayyaad kar ke

badan mera chhua tha us ne lekin
gaya hai ruh ko aabaad kar ke

har aamir tul dena chahta hai
muqarrar zulm ki miad kar ke