اردو हिंदी
Bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge | Shaahi Shayari
bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge

Ghazal

Bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge

Rahmat Ilahi Barq Aazmi

;

bahut raushan hum apna nayyar-e-taqdir dekhenge
jab aaghosh-e-tasawwur mein teri taswir dekhenge

harim-e-dil ke girda-gird wo tanwir dekhenge
jalal-e-mehr-e-anwar ko bhi be-tauqir dekhenge

nigah-e-dil se jis din uswa-e-shabbir dekhenge
KHalilullah apne KHwab ki tabir dekhenge

junun-e-ishq ke ilzam mein ai KHush-nawa qumri
gale mein tu ne dekha tauq hum zanjir dekhenge

alam ho ranj ho gham ho bala ho shadmani ho
jo tu ne likh diya ai katib-e-taqdir dekhenge

KHuda ki rah mein sab kuchh luTa kar baiThne wale
KHuda ki kul KHudai apni hi jagir dekhenge

mera aamal-name dhul gaya ashk-e-nadamat se
farishte kya karenge kuchh na jab tahrir dekhenge

sitam-garon ko mil jaega apne zulm ka badla
kabhi aah-e-ghariban ko na be-tasir dekhenge

mohabbat hi bina ai 'barq' hai taKHliq aalam ki
mohabbat hi ko har aalam mein aalam-gir dekhenge