bahut raushan hai sham-e-gham hamari
kisi ki yaad hai hamdam hamari
ghalat hai la-talluq hain chaman se
tumhaare phul aur shabnam hamari
ye palkon par nae aansu nahin hain
azal se aankh hai pur-nam hamari
har ek lab par tabassum dekhne ki
tamanna kab hui hai kam hamari
kahi hai hum ne KHud se bhi bahut kam
na puchho dastan-e-gham hamari

Ghazal
Bahut raushan hai sham-e-gham hamari
Habib Jalib