bahut qarib hai pat-jhaD ki rut palak na uTha
zamin se aks uTha dhup ki chamak na uTha
ghilaf-e-sang mein lipTa hua hai shahr ka shahr
chali hawa to zamin se ghubar tak na uTha
qadam qadam pe ye Dar tha ki ghat mein hai koi
yahan to pa-e-tafakkur mein thi jhijak na uTha
phir apna apna kafan le ke chal diye sab log
kisi se bar-e-gham-e-marg-e-mushtarak na uTha
main chob-e-gham tha ki pahron sulag sulag ke jala
kabhi jo shoala uTha bhi to yak-ba-yak na uTha
shigaf-e-sar ko wajud-e-hawa-e-shor bahut
ye shahr-e-sang hai yan tohmat-e-namak na uTha
bahut zamin se uThaya uThi na parchhain
gira tha aks kuchh aisa ki aaj tak na uTha
Ghazal
Bahut qarib hai pat-jhaD ki rut palak na uTha
Nashtar Khaanqahi