bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche
magar aashiq na ab tak ishq ke mear tak pahunche
dabain dhaDkanen aankhon ko jhuThlaya gaya barson
baDi mushkil se wo inkar se iqrar tak pahunche
abhi to raushni uljhi hai tariki ke tufan se
na jaane kab talak apne dar-o-diwar tak pahunche
chuDao gar chhuDa sakte ho daman-e-wafa hum se
magar aisa na ho ye baat bhi aghyar tak pahunche
zaban ki aarzu mein Thokaren khate hue naghme
rubab-o-chang se talwar ki jhankar tak pahunche

Ghazal
Bahut pahunche to un ke kakul-o-ruKHsar tak pahunche
Mushtaq Naqvi