bahut nahif hai tarz-e-fughan badal Dalo
nizam-e-dahr ko naghma-giran badal Dalo
dil-girafta tanawwo hai zindagi ka usul
makan ka zikr to kya la-makan badal Dalo
na koi chiz dawami na koi shai mahfuz
yaqin sambhaal ke rakkho guman badal Dalo
naya banaya hai dastur-e-ashiqi hum ne
jo tum bhi qaeda-e-dil-baran badal Dalo
agar ye taKHta-e-gul zahar hai nazar ke liye
to phir mulazamat-e-gulistan badal Dalo
jo ek pal ke liye KHud badal nahin sakte
ye kah rahe hain ki sara jahan badal Dalo
tumhaara kya hai musibat hai likhne walon ki
jo de chuke ho wo sare bayan badal Dalo
mujhe bataya hai 'sayyad' ne nusKHa-e-asan
jo tang ho to zamin aasman badal Dalo
Ghazal
Bahut nahif hai tarz-e-fughan badal Dalo
Muzaffar Ali Syed