bahut mushkil hai tark-e-arzu rabt-ashna ho kar
guzar ja wadi-e-pur-KHar se baad-e-saba ho kar
laga doge tamanna ke safine ko kinare se
maaz-allah dawa-e-KHudai na-KHuda ho kar
har ek ho silsila rangin gunahon ke salasil ka
nahin aasan duniya se guzarna parsa ho kar
meri pinhai-e-ilm-o-KHabar ki intiha ye hai
ki ek qatre se na-waqif hun dariya-ashna ho kar
kahan tab-e-judai ab to ye mahsus hota hai
ki main KHud se juda ho jaunga tum se juda ho kar
tera dar chhoD dun lekin tere dar ke siwa saqi
kahan jaun kidhar jaun zamane se KHafa ho kar
jo shikwa un se karna tha wo un ke ru-ba-ru 'darshan'
zaban tak aate aate rah gaya harf-e-dua ho kar
Ghazal
Bahut mushkil hai tark-e-arzu rabt-ashna ho kar
Darshan Singh