bahut mushkil hai dariya par jaana
magar hai kufr himmat haar jaana
bahut mumkin hai qismat muntazir ho
to phir KHwabon mein bhi bedar jaana
na jaana halqa-e-zulmat mein chahe
paDe maqtal pas-e-diwar jaana
ye kah kar wo chala su-e-shahadat
KHuda ke pas kya bimar jaana
amir-e-shahr ka husn-e-tadabbur
raqibon ko bhi apna yar jaana
muqaddar tha jo bach aae salamat
dil-e-inkar ko iqrar jaana
tamanna jit ki ho zindagi mein
to har mahfil mein le kar haar jaana
agar munsif bana wo KHud na hoga
ye raaz us ne sar-e-darbar jaana
ye paiham muflisi jin ka karam hai
unhin ko hum ne palanhaar jaana
lab-o-ruKHsar par tale paDe hain
to kya 'KHalid' pae didar jaana
Ghazal
Bahut mushkil hai dariya par jaana
Khalid Yusuf