bahut jumud hai tari koi KHayal zara 
naya sa lafz meri KHak par uchhaal zara 
wo tu hi hai ki main bikhra hun samne jis ke 
tu kam-nasib nahin hai mujhe sambhaal zara 
bichhaDte waqt ye KHwahish kahan thi na-jaez 
use bhi hota hamari tarah malal zara 
nahin jo manta KHud ko ki be-misal hai tu 
tu apne jaisi dikha de koi misal zara 
hansi mein Tal de phir se hamari har KHwahish 
phir ek bar thapak de hamara gal zara 
main KHud ko rakh na kar dun ye Dar satata hai 
hisar-e-jism se bahar mujhe nikal zara
        Ghazal
Bahut jumud hai tari koi KHayal zara
Zia Zameer

