اردو हिंदी
Bahut jaldi thi ghar jaane ki lekin | Shaahi Shayari
bahut jaldi thi ghar jaane ki lekin

Ghazal

Bahut jaldi thi ghar jaane ki lekin

Baqi Ahmad Puri

;

bahut jaldi thi ghar jaane ki lekin
mujhe phir sham raste mein paDi hai

nisab-e-zindagi jis mein likha hai
kitab-e-dil wo baste mein paDi hai

nahin arzan mata-e-raegani
magar mujh ko ye saste mein paDi hai

wo aise DhunDne nikle hain 'baqi'
mohabbat jaise raste mein paDi hai