اردو हिंदी
Bahut hi saf-o-shaffaf aa gaya taqdir se kaghaz | Shaahi Shayari
bahut hi saf-o-shaffaf aa gaya taqdir se kaghaz

Ghazal

Bahut hi saf-o-shaffaf aa gaya taqdir se kaghaz

Parveen Umm-e-Mushtaq

;

bahut hi saf-o-shaffaf aa gaya taqdir se kaghaz
tumhaare waste laya hun main kashmir se kaghaz

hua hai abru-e-jaanan se dil-e-betab sad-para
muqabil ho nahin sakta dam-e-shamshir se kaghaz

agar lohe ke gumbad mein rakhenge aqraba un ko
wahin pahunchaega aashiq kisi tadbir se kaghaz

meri qismat likhi jati thi jis din main agar hota
uDa hi leta dast-e-katib-e-taqdir se kaghaz

bhala sada waraq par likhta kya rangin-mizajon ko
munaqqash kar liya tha pahle hi taqdir se kaghaz

kuchh us KHushbu ki had bhi hai moattar ho gaya bilkul
mere hathon mein wasf-e-gesu-e-shabgir se kaghaz

adu ka KHat hai ya tawiz hai jo yun hai sine par
ye kyun rakkha gaya hai izzat-o-tauqir se kaghaz

KHat-e-taqdir se behtar main samjhun is ko duniya mein
tu likhwa lae gar qasid but-e-be-pir se kaghaz

bata zalim mere qasid ne tera kya bigaDa tha
jo le kar phaD Dala dast-e-be-taqsir se kaghaz

mere hath aa gaya 'parwin' adu ke nam ka KHat tha
gira tha rah mein jo dast-e-but-e-be-pir se kaghaz