bahut hi dil-nashin aawaz-e-pa thi
na jaane tum the ya baad-e-saba thi
baja karti thin kya shahnaiyan si
KHamoshi bhi hamari jab nawa thi
wo dushman hi sahi yaro hamara
par us ki jo ada thi kya ada thi
sabhi aks apna apna dekhte the
hamari zindagi wo aaina thi
chala jata tha hansta khelta main
nigah-e-yar meri rahnuma thi
chalo TuTi to zanjir-e-mohabbat
musibat thi qayamat thi bala thi
na hum badle na tum badle ho lekin
nahin jo darmiyan wo chiz kya thi
mohabbat par udasi chha rahi hai
hai kya anjam aur kya ibtida thi
shagufe phuTte the dil se 'naushad'
ye wadi pahle kitni pur-faza thi
Ghazal
Bahut hi dil-nashin aawaz-e-pa thi
Naushad Ali