bahut hassas-o-nazuk aabgine wala main tanha
sharaben phenk kar zahrab pine wala main tanha
nae lashkar nae neze nai sharten hain baiat ki
ye kis kufe mein hun makke madine wala main tanha
lahu se kis tarah tariKH likhun asr-e-hazir ki
hazaron sar kaTi lashon mein jine wala main tanha
suKHan-e-na-ashna sahib-qiran ahl-e-samaat mein
shuur-o-fan ka girwida qarine wala main tanha
bataun apna shajara kiya subuk-saran-e-sahil ko
tah-e-girdab gum-gashta safine wala main tanha
azab-e-jaan hai 'ishrat' dard-mandi aur hissiyat
qataron mein gareban chaak sine wala main tanha
Ghazal
Bahut hassas-o-nazuk aabgine wala main tanha
Ishrat Qadri