bahut hain roz-e-sawab-o-gunah dekhne ko
ki hum hain zindagi-e-be-panah dekhne ko
banegi ab nazar inkar so ruke hain sabhi
KHud apni aankh se apni nigah dekhne ko
meri nawa ko jo pakizgi ata kar de
taras raha hun wo masum chah dekhne ko
main sang-e-rah nahin dil ke is do-rahe par
khaDa hua hun faqat apni rah dekhne ko
mila diya hamein apnon se shukriya ai waqt
yahi mile the hamein yun tabah dekhne ko
tunuk-mizaj hain hum yun na roz roz milo
bahut hai aao agar gah gah dekhne ko
jo mere bare mein mujh se bhi mo'tabar hai koi
main ji raha hun tera wo gawah dekhne ko
sun ai hamare siyah o safed ke malik
hum aae hain wo safed o siyah dekhne ko
tum aankh tak nahin malte macha ho jab kohram
tum aankh kholte ho sirf wah dekhne ko
wo chup to yun hai ki aagah jin ko karna tha
jiye na lamha-e-yak-intibah dekhne ko
ye kis ki aah lagi ghar nahin koi milta
har ek makan hai KHud sab ki rah dekhne ko
khula ki dida-e-ibrat nigah koi na tha
uThi thi yun to har ek ki nigah dekhne ko
jo sab ki jaan ka janjal ye nibah hai 'talKH'
main sab ke sath hun bas wo nibah dekhne ko
Ghazal
Bahut hain roz-e-sawab-o-gunah dekhne ko
Manmohan Talkh