bahut hai ab meri aankhon ka aasman us ko
gaya wo daur ki thi fikr-e-ashiyan us ko
kiya hai saltanat-e-dil pe hukmaran us ko
nawazishon ka saliqa magar kahan us ko
shigaf-e-zaKHm jo mera na khul gaya hota
to kaise milti ye shamshir-e-kahkashan us ko
jidhar bhi jata hai wo shola-e-bahaar-sarisht
duaen deta hai amboh-e-kushtgan us ko
KHud us ki apni chamak ne suragh us ka diya
chhupaya main ne bahut zer-e-ab-e-jaan us ko
samundar apna sa munh le ke rah gae 'ishrat'
kiya tarawash-e-shabnam ne be-karan us ko
Ghazal
Bahut hai ab meri aankhon ka aasman usko
Ishrat Zafar