اردو हिंदी
Bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle | Shaahi Shayari
bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle

Ghazal

Bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle

Sahir Ludhianvi

;

bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle
agar sada na uThe kam se kam fughan nikle

faqir-e-shahr ke tan par libas baqi hai
amir-e-shahr ke arman abhi kahan nikle

haqiqaten hain salamat to KHwab bahutere
malal kyun ho ki kuchh KHwab raegan nikle

udhar bhi KHak uDi hai idhar bhi KHak uDi
jahan jahan se bahaaron ke karwan nikle

sitam ke daur mein hum ahl-e-dil hi kaam aae
zaban pe naz tha jin ko wo be-zaban nikle