bahut ghuTan hai bahut iztirab hai maula
hamare sar pe ye kaisa azab hai maula
suna tha main ne yahi din hain phul khilne ke
mere liye to ye mausam KHarab hai maula
koi batae hamari samajh se bahar hai
kise gunah kahen kya sawab hai maula
azal se teri zamin par khaDe hain tere ghulam
saron pe un ke wahi aaftab hai maula
gunah jitne bhi mere hain sab shumar mein hain
tera karam to magar be-hisab hai maula
kuchh aur zillat-o-ruswaiyan muqaddar hon
'shamim' waise bhi KHana-KHarab hai maula
Ghazal
Bahut ghuTan hai bahut iztirab hai maula
Shamim Farooqui