bahut fasad chhupa tha lahu ki gardish mein
bikhar ke KHak hue ek zara si laghzish mein
parind shaKH pe tanha udas baiTha hai
uDan bhul gaya muddaton ki bandish mein
wo hath kya hue tamir raegan nikli
makan gir gae mausam ki pahli barish mein
jo qatl-o-KHun ki aandhi chali to thamti kya
sabhi sharik the basti ke log sazish mein
kitab kholi to lafzon ke sath bahne lage
ajab tilism tha us shaKHs ki nigarish mein
Ghazal
Bahut fasad chhupa tha lahu ki gardish mein
Khaleel Tanveer