bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna
saza se kam nahin hai KHud ko apne ru-ba-ru karna
ajab simabiyat hai in dinon apni tabiat mein
ki jis ne baat ki hans kar usi ki aarzu karna
ibaadat ke liye tathir-e-dil ki bhi zarurat hai
wazu ke baad phir ashk-e-nadamat se wazu karna
ye wasf-e-KHas hai kuchh aap se ba-wasf logon ka
hamein aata nahin hai aap ko lamhe mein tu karna
teri fitrat mein yun musbat ishaare DhunDta hun main
kisi sahra ko jaise chahta hun aabju karna
Ghazal
Bahut dushwar hai ab aaine se guftugu karna
Raghib Akhtar