bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
aur ab to KHas wahi mausam-e-bahaar hai aa ja
kahan ye hosh ki uslub-e-taza se tujhe likhun
ki ruh tere liye saKHt be-qarar hai aa ja
guzar chali hain bahut gham ki shorishen bhi hadon se
magar abhi to tera sab pe iKHtiyar hai aa ja
wo teri yaad ki ab tak sukun-e-qalb-e-tapan thi
teri qasam hai ki ab wo bhi nagawar hai aa ja
ghazal ke shikwe ghazal ke muamlat juda hain
meri hi tarah se to bhi wafa-shiar hai aa ja
badal raha ho zamana magar jahan-e-tamanna
tere liye to abad tak bhi sazgar hai aa ja
hazar tarah ke afkar dil ko raund rahe hain
muqable mein tere ranj-e-rozgar hai aa ja
Ghazal
Bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja
Jameeluddin Aali