bahut dinon se khula dar talash karta hun
main apne ghar mein khaDa ghar talash karta hun
palak pe qatra-e-shabnam uThae sadiyon se
tere karam ka samundar talash karta hun
nazar mein jit ki tasdiq ka sawal liye
gali gali mein sikandar talash karta hun
badan badan se KHulus-o-wafa ki KHushbuen
main sungh kar nahin chhukar talash karta hun
labon ki pyas bujhane ke waste saqi
kisi buzurg ka saghar talash karta hun
jawaharaat ke ek Dher par khaDa ho kar
nai pasand ka patthar talash karta hun
tu aandhiyon ke tashaddud ki baat karta hai
main apne TuTe hue par talash karta hun
Ghazal
Bahut dinon se khula dar talash karta hun
Kanval Ziai