bahut dinon se hai ji mein sawal puchhunga
main tere aaine se tera haal puchhunga
bahut hasin hai ye duniya magar zawal ke sath
KHuda se hashr mein husn-e-zawal puchhunga
sukut-e-sham se kyun nisbat-e-tabiat hai
sukut-e-sham se wajh-e-malal puchhunga
tu be-misal hai teri misal kya puchhun
main kuchh nahin magar apni misal puchhunga
mera KHayal hai meri nigah mein hai jamal
tere jamal ka kya hai KHayal puchhunga
KHarab aks hain shisha-ba-dast kyun saqi
qusur-e-baada-e-jam-e-sifal puchhunga
faza udas hai jangal ki saen saen hai 'shaz'
main kis se wahshat-e-chashm-e-ghazal puchhunga
Ghazal
Bahut dinon se hai ji mein sawal puchhunga
Shaz Tamkanat