bahut dinon mein kahin raste badalte the
wo log kaise the jo sath sath chalte the
wo kar-gah na rahi aur na wo sifal rahi
KHuda ke daur mein kya aadmi nikalte the
zara se rizq mein barkat bhi kitni hoti thi
aur ek charagh se kitne charagh jalte the
guzarne ki wo surat qayam-e-KHwab mein thi
jahan se aur kai raste nikalte the
falak pe apna basera tha aur hum aksar
falak ke aaKHiri kone pe ja nikalte the
Ghazal
Bahut dinon mein kahin raste badalte the
Atiiqullah