bahut dinon mein hum un se jo ham-kalam hue
dil-o-nazar hama-tan sajda-o-salam hue
hanuz jaise masiha ki aamad aamad hai
agarche umr hui zindagi tamam hue
shafaq si KHema-e-jaanan ki samt baqi hai
tamam wadi-o-kohsar gharq-e-sham hue
kai gile the jo shor-e-jahan mein Dub gae
kai sitam the jo ehsan ban ke aam hue
kisi taraf jinhen rah-e-gunah mil na saki
kuchh aise log bhi duniya mein nek-nam hue
ufuq ke par kahin se lahu uchhalta hai
zamin se dur bhi kya kya na qatl-e-am hue
chale the un se musibat mein hum gila karne
kuchh aur morid-e-tazhik-e-KHas-o-am hue
rah-e-talab mein nae regzar tak pahunche
wo tishna-kaam jo sahra mein tez gam hue
Ghazal
Bahut dinon mein hum un se jo ham-kalam hue
Varis Kirmani