bahut din dars-e-ulfat mein kaTe hain
mohabbat ke sabaq barson raTe hain
junun mein ho gaya hai ab ye darja
ki hai haalat radi kapDe phaTe hain
haram se wapsi par meri dawat
hui mai-KHane mein mai-kash DaTe hain
bahut pir-e-mughan zi-hausla hai
sharab-e-nab ke saghar luTe hain
riyaz o zohd ke jitne the dhabbe
wo sare naqsh-e-baatil ab miTe hain
tabarruk the meri tauba ke TukDe
bajae naql mahfil mein baTe hain
alam ke dard ke hasrat ke gham ke
maze jitne hain sare chaTpaTe hain
nahin be-wajh waiz roni surat
ye hazrat aaj rindon mein piTe hain
hue jarub-kash us dar ke 'parwin'
ki sare gard miTTi mein aTe hain
Ghazal
Bahut din dars-e-ulfat mein kaTe hain
Parveen Umm-e-Mushtaq