bahut dil ko kushada kar liya kya
zamane bhar se wada kar liya kya
to kya sach-much judai mujh se kar li
to KHud apne ko aadha kar liya kya
hunar-mandi se apni dil ka safha
meri jaan tum ne sada kar liya kya
jo yaksar jaan hai us ke badan se
kaho kuchh istifada kar liya kya
bahut katra rahe ho mughbachon se
gunah-e-tark-e-baada kar liya kya
yahan ke log kab ke ja chuke hain
safar jada-ba-jada kar liya kya
uThaya ek qadam tu ne na us tak
bahut apne ko manda kar liya kya
tum apni kaj-kulahi haar baiThin
badan ko be-libaada kar liya kya
bahut nazdik aati ja rahi ho
bichhaDne ka irada kar liya kya
Ghazal
Bahut dil ko kushada kar liya kya
Jaun Eliya