bahut dil kar ke honTon ki shagufta tazgi di hai
chaman manga tha par us ne ba-mushkil ek kali di hai
mere KHalwat-kade ke raat din yunhi nahin sanwre
kisi ne dhup baKHshi hai kisi ne chandni di hai
nazar ko sabz maidanon ne kya kya wusaten baKHshin
pighalte aabshaaron ne hamein dariya-dili di hai
mohabbat na-rawa taqsim ki qael nahin phir bhi
meri aankhon ko aansu tere honTon ko hansi di hai
meri aawargi bhi ek karishma hai zamane mein
har ek darwesh ne mujh ko dua-e-KHair hi di hai
kahan mumkin tha koi kaam hum jaise diwanon se
tumhin ne git likhwae tumhin ne shairi di hai
Ghazal
Bahut dil kar ke honTon ki shagufta tazgi di hai
Jaan Nisar Akhtar