bahut dhoka kiya KHud ko magar kya kar liya main ne
tamasha mujh ko karna tha tamasha kar liya main ne
yahan bhi ab nai aabaadiyon ka shor sunta hun
yahan se bhi nikalne ka irada kar liya main ne
safar mein dhup ki shiddat kahan tak jhelta aaKHir
teri yaadon ko oDha aur saya kar liya main ne
koi achchha nahin sab log ek jaise hain basti mein
natija ye hua KHud ko akela kar liya main ne
koi mausam ho kaisi hi faza ho gham nahin hota
zamane wala har ek rang paida kar liya main ne
ye duniya apne Dhab ki thi na duniya wale achchhe the
magar kya kijiye phir bhi guzara kar liya main ne
Ghazal
Bahut dhoka kiya KHud ko magar kya kar liya maine
Farooq Shafaq