bahut chup hun ki hun chaunka hua main
zamin par aa gira uDta hua main
badan se jaan to ja hi chuki thi
kisi ne chhu liya zinda hua main
na jaane lafz kis duniya mein khoe
tumhaare samne gunga hua main
bhanwar mein chhoD aae the mujhe tum
kinare aa laga bahta hua main
ba-zahir dikh raha hun tanha tanha
kisi ke sath hun bichhDa hua main
chala aaya hun sahraon ki jaanib
tumhaare dhyan mein Duba hua main
ab apne-ap ko KHud DhunDhta hun
tumhaari khoj mein nikla hua main
meri aankhon mein aansu to nahin hain
magar hun ruh tak bhiga hua main
banai kis ne ye taswir sachchi
wo ubhra chand ye Dhalta hua main
Ghazal
Bahut chup hun ki hun chaunka hua main
Irshad Khan ’Sikandar’